alifbyarif's Blog

A topnotch WordPress.com site

Jume ke din ki fazeelat

JUMA KE EHKAAM – JUMA KA
DIN MUSALMANO KE LIYE EID
HAI..!!
Nahmaduhu wa nusalli alaa rasoolil kareem,
amma baad
Dear Friends, Assalamualaikum
Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa
darja rakhta hai.
Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh
kar milta hai.
Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar
milta hai.
1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne
farmaya” Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke
bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to
uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain”
Ek dusri hadees me hain ki ” Juma ka Gusal
baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal
phekta hai”
2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki
Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me
hoti hai ki Huzur saw per padha jane wala
DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal
DURROD IBRAHIM hai.
3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi
padhe. Huzur saw ne farmaya ki ” Ye namaz jo
padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan
bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera
aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain. ” Aur
JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar
milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.
4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye
DUROOD 80 padhega ” ALLAHUMMA SALLI ALAA
MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA
AALIHI WASALLIM TASLEEMA ” to uske 80 saal
ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske
aamaal-naame me likhi jaegi.
5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne
farmaya ” Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega
to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo
KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran
DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz
rahega ” Ek dusri Hadees me hai ki “Jo shakhs
JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak
ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega”
ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada
DEEN ki mehnat karne wala banaye.

Jumma Ki namaz ki Ahmiyat or Fazeelat or kch
zruri ahkaam
Juma ka hukum : juma ki namaz har baaligh
musalman par farz hai.Allah taala quran me
irshaad farma raha hai k.
ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺇِﺫَﺍ ﻧُﻮﺩِﻱَ ﻟِﻠﺼَّﻠَﺎﺓِ ﻣِﻦ ﻳَﻮْﻡِ ﺍﻟْﺠُﻤُﻌَﺔِ ﻓَﺎﺳْﻌَﻮْﺍ ﺇِﻟَﻰٰ ﺫِﻛْﺮِ
ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺫَﺭُﻭﺍ ﺍﻟْﺒَﻴْﻊَ ۚ ﺫَٰﻟِﻜُﻢْ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟَّﻜُﻢْ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥَ ﴿٩ ﴾
Aye iman walo! jab juma k roz namaz keliye pukar
hoto tum Allah k zikr ki taraf lapko aur apna
karobaar (business) chordo.(surah juma-09)
hazrat hafsa raziAllahu anha se riwayat hai k nabi
(pbuh) ne farmaya ” juma ki taraf jaana har
baaligh musalman par farz hai.” (sunan nisayi)
Juma kin logon par farz hai : hazrat taariq bin
shahab raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi
(pbuh) ne farmaya ” juma har baaligh musalman
par farz hai.magar 4 ashkhaas par farz nahi
hai.1.ghulam – 2.aurat – 3.baccha- aur bimar.
(abu dawood)
aur isi tarha dosri riwayat hazrat ibn abbas
raziAllahu anhu se hai k farmaya nabi(pbuh) ne
“jis shaqs ne juma ki azaan suni aur fir bhi wo
masjid me nahi aaya iski koi namaz nahi illa ye k
isse uzr ho.” sahaba raziAllahu anhum ne daryaft
kia “aye Allah k rasool (pbuh) uzr kia
hai?”farmaya”marz ya khauf”.(abu dawood)
Juma ki azaan : nabi(pbuh) hazrat abubakr o
umar raziAllahu k zamane tak juma ki ek hi azaan
hoti thi aur wo is waqt jabke imam qutba keliye
membar par aakar baith jaate.hazrat osman
raziAllahu anhu k zamane me jab madina
munawwara ki aabadi barh gayi to inho ne ek aur
azaan ko riwaaj dia.jo zora(masjid k darwaaze k
qareeb ek buland jagah) par kahi jaati thi.(sahih
bukhari-abu dawood-nisaayi).
Juma k roz ki fazeelat aur wo kaam jo is roz
mustahab hain : hazrat abu huraira raziaAllahu
anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne
farmaya”subse accha din jis din suraj tulu hua
juma ka din hai.is roz aadam alaihissalam ki
paidaayesh hui isi din jannat me daakhil kiye gaye
aur isi din jannat se nikaale gaye.aur qayamat bhi
juma k din hi aayegi.” (sahih muslim-abu
dawood-tirmizi-nisaayi).
hazrat jabir raziAllahu anhu se marwi hai k nabi
(pbuh) ne farmaya “juma k din 12 ghariyan hain
jinme se ek ghari aisi hai jinme koi musalman
banda sawal karta hua nahi paaya jaata magar
Allah taala iska sawal poora karta hai.tum is
ghari(waqt) ko asr k baad aakhri waqt me talaash
karo.(sunan nisaayi-abu dawood -haakim)
Juma k din aur raat me nabi(pbuh) par darood
bhejne ki fazeelat : hazrat aos bin aos raziAllahu
anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya
“tumhare dinon me sabse afzal din juma ka din
hai.isi me hazrat aadam alahissalam ki
paidaayesh hui aur isi me inki wafat hui,isi me
qayamat aayegi.lehaaza is roz tum mujhpar
kasrat se darood bhejo isliye k tumhara darood
mujhpar pesh hone wala hai.” sahaba raziAllahu
anhum ne arz kia aye Allah k rasool aap par
hamara darood kaise pesh hoga.halanke aap
(pbuh) boseeda hochuke honge?farmaya”Allah
taala ne haraam kardia hai k wo anbiya k jismon
ko khaaye”.(abu dawood-nisaayi-ibn maaja-
ahmed).
Juma k din nahane,miswaak karne,khushboo
lagane aur umda libaas pahanne ki fazeelat :
hazrat abu sayeed raziAllahu anhu se riwayat hai
k nabi(pbuh) ne farmaya” har musalman ko
chahiye k juma k din nahaye,apne umda kapre
pahne aur agar iske paas khushboo hoto usse
lagaye.(sahih bukhari wa muslim-ahmed)
Juma k din masjid me jald se jald pahunchne ki
fazeelat : hazrat abu huraira raziAllahu anhu se
riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya k juma k din
ghusl e janabat jaisa ghusl kia aur fir masjid gaya
goya usne ek oonth(camel) ka sadqa kia,fir jo
shaqs dosri ghari me gaya goya isne ek gaaye ki
qurbaani di fir jo shaqs teesri ghari me gaya usne
goya ek singhon waale mendhe ki qurbaani di fir jo
shaqs chauthi (4th) ghari me gaya goya usne ek
murghi ka sadqa kia fir jo paanchwi ghari me
gaya goya usne ek ande ka sadqa kia iske baad
jab imam aajata hai(yaani jab qutba shru hojaata
hai) to farishte aakar qutba sunna shru kardete
hain.(sahih bukhari wa muslim-abu dawood-
tirmizi-nisaayi)
Juma k din qutba shru hone se pahle nafil parhne
ki fazeelat : hazrat abu huraira raziAllahu anhu se
riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya”jis shaqs ne
juma k din ghusl kia fir juma ki namaz keliye aaya
aur jitni nafil namaz isse hosaki isne parhi fir
imam k qutba se faarigh hone tak khamooshi aur
dhiyaan se qutba sunta raha aur fir iske peeche
namaz parhi to iske is juma se agle juma k
darmiyan k gunah aur teen din mazeed k gunah
muaaf kardiye gaye.”(sahih muslim)
qutbe k dauran : hazrat abu huraira raziAllahu
anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya”jis
waqt imam qutba deraha ho is waqt tumne apne
saathi se ye kaha k khamoosh hojao to tumne
fazool baat ki.(sahih bukhari wa muslim-abu
dawood-nisaayi-tirmizi)

Hadeeso me Jumme ki badi Fazilat bayan ki
gai h ,,
Daalte h 1 nazar Jumme par .. Jumma ki Namaz
sabse pehle 12 Rabi- ul-
Awwal 1 Hijri ko Nabi e Pak (Sallal Lahu
Alaihi Wassalam) ki Imamat me padi gai ,,
Jisme Sahabao ki Tadaat 100 thi … !!
(Mohsine Insaniyat 703) Jumme ki Murakbaad
Dene ka b Ajr h .. Hadees:
Ae Musalmano k Giroh.. !!
Beshak Ye Jumma woh Din h Jisko Allah ne
Eid Banaya h … !!
(mishkat Hadees no. 123) Hadees:
Jisne Jumma ki Mubarakbaad di ,,
Uss par Jannat Wajib h … !! Hadees:
Jab koi Banda kisi Momin bhai ko ,,
Juma ki Mubarak baad deta h ….
To Jannat me uske liye 1 Darakht laga diya
jata h … !! Jumme k din Kasrat se Duruud pade ..
Hadees:
Jo mujhpar Jumma k din Duruud pade ,,
Uski Shafa’at karunga … !!
(Kanzul Ummat jild 1 Safa 225 hadees
2236) Hadees:
Jisne Juma k Din Mujhpar 200 bar Duruud
pada ,,
uske 200 saal k Guhaan maaf ho gaye … !!
(Kanzul Ummal Had no. 2238) Hadees:
Jo Jumme k Din ya Raat 100 bar Duruud
pade ,,
Uski 100 Hajate puri hongi ..
70 Akhirat me or 30 dunyavi … !!
(Musnad Abu) Jumme ki Namaz na chhode ..
Hadees:
Jisne Jumme ki Namaz (2 Rakat jumma) se
Pehle ,,
4 Sunnat Namaz or Jumma k baad ,,
4 Sunnat ,, 2 Sunnat ,, 2 Nafil padi …
Allah uss par Jahannam ki Aag Haram kar
dega .. !!
(Tizimi v1 Hadees 410) Hadees:
Jumma k Din Jaldi masjid me Pahuchne
wala ,,
Jald Jannat me jayega … !! Hadees:
Jumme ki Namaz k liye Azaan di jaye ,,
To 2m Allah ki Yaad k liye Chal pado ,,
K 2mhare liye Behtar h agr 2m Jante ho … !!
(bukhari) Hadees:
Jumme ki Namaz 2sre Jumma k ,,
Gunaho ko Maaf kar deta h … !!
(Ibn e Maaja) Hadees:
Jo Shaks Jumma ki Namaz Jama’at k sath
padta h ,,
Allah uske liye 1 Maqbool Haj ka Sawab
likhta h … !!
(Ghuniya tul Taliban) Hadees:
Jisne 3 Jumma Susti Barte Hue Chhod diye
to ,,
Allah Ta’ala uske Dil par Mohar Laga
dega … !!
(Abu Daud ,, Tirzimi) Jumme k Din khas tor se
Gusl kare ,,
Ye Jumma ki Sunnato me se 1 h … Hadees:
Jumma ka Gusl .. Aadmi k Gunaho ko ,,
Uski Baal k Jad se Kheech leta h … !!
(Tibrani) Hadees:
Jo ShaksJuma k din Gusl karke Awwal waqt
me Masjid jaye ,,
Goya usne Oont ki Qurbani ki … !!
(Muslim) Jumma k Din Duao ki Qubuliyat ka Din b
h .. Hadees:
Jumma k Din Aisi Ghadi aati h ,,
Jisme Agar koi Muslaman banda Khada
Namaz pad paha ho ,,
Or Dua mange to Allah uski Dua Qubuul
kare … !! Kuchh Hadeeso me Khutbe k baad ka
waqt
or Jumme ki namaz ,,
k baad jo Dua mango puri hone ka b Zikr
h … !! Jumme ki Fazilate Itni h k Bayan b nai ki
jaa
sakti .. Hadees:
Jumma k Din 1 Neki ka Sawab ,,
70 Guna (7o times) or Guhan karne ka Azab
70 times se b zyada h … !!
(Mirat jil 2 page323) Jumma ki Sunnate
Gusl karna ,,
Saaf Kapde Pehanna ,,
Khushbu Tel Surma lagana ,,
Nakhun Katna ,,
Masjid Jald jana or Paidal jana ,, Surh Kahaf
padna
Musafa karna
Or Jumma ki Mubarakbad dena To mere Bhaiyo or
Behno .. !! Ye to sirff kuchh hi Fazilate likhi h
mene ,,
Jumme ki ti Itni Fazilat h …
K aap soch b nai sakte .. !! Ye Gareebo ki haj h ,,
Gunaho ka Kaffra h ,,
Qubuliyat ka Din h ..
Isliye Jumme ki Taiyari Eid ki tarha kare ,,
Duruud pade or Sunnato par Amal kare .. !! Or ise
jitna ho sake Failaye…
Likhne me koi Galti hui ho to zarur
Bataye … !!

Jume ki mubarakbad

Roze JUMU’AH ROZE
EID hai…
khud hadees me hai
yani:K
“JUMU’AH KA DIN
TUMHARE LIYE EID KA
DIN HAI PAS TUM MAT
BANAAO EID KE DIN KO
ROZE KA DIN.”
(fatawa mustafavia,
page:305)

Neez ye Hadees e Paak
hashiya mishkaat or
muslim shareef me bhi
mazkoor hai…
Is Hadees e paak se
pata chala ke JUMU’AH
KA DIN yaume EID ki
tarah hai to jis tarah
EID ki mubarak baadi
dena durust hai isi tarah
JUMU’AH ki mubarak
baadi dena bhi jaaez
hai..

6 thoughts on “Jume ke din ki fazeelat

  1. SUBHAN-ALLAH

  2. Asalamualaikum SubhanAllah Alhamdulillah Jazaq Allah khaira….!

  3. MashaaAllah.
    Hadesh

Leave a comment