alifbyarif's Blog

A topnotch WordPress.com site

Ramzan k masail

MASAIL – E -FIQHIYYA
Rozah bhi Misl Namaaz Ke(namaaz ki Tarah) farze a’in hai –
Iski Farziyat ka munkir kaafir aur bila uzr tark karne wala sakht
gunehgaar aur dozakh ka mustaheeq (Haqdaar) hai . Jo
bachche Rozah rakh sakte ho unko rakhaya jaaye.
ROZE KE TAARIF
Rozah Urfe shara’a Mein musalmaan ka ibaadat ki Niyyat se
subah saadiq se Gurub – E – Aaftaab tak apne ko jaan bujhkar
khaane peene aur jima’a(HumBistari) se baaz rakhne ko kehte
hain.
Roze Ki Niyyat Ke Masail
Masla – Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke
roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra
( Shuru Zawaal ) Tak hai.
Masla – Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal
k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra
(Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah na hua.
Masla – Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart
Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.
Masla – Agar raat Mein Niyyat kare to , yu kahe
“…………………………..Arbi Dua…………………..” aur din Mein Niyyat kare
to ye kahe “………………………Arbi  Dua…………………………….
Masla – Raat Mein Niyyat ki phir uske baad raat hi Mein khaaya,
piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir
Niyyat karne zaroori Nahin.
Masla – Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k
Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k
Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua
Masla – Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat
karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar
subah sadiq ke fauran baad Qasdan(Jaan Bujhkar) khaya, piya
uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah
sadiq ke baad bhool kar kha  pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho
jaayega.
Masla – Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak
todhne waali cheez na kare
Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah
Saheeh hai.
Masla – Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya
ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na
ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.
Masla – Sehri khaana bhi  Niyyat hai khaah(chaahe) ramzaan ke
roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye
Masla – Sehri khaate waqt ye irada hai k subah ko Rozah na
hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin
Masla – Adae Ramzaan aur nazrein mo’aiyyan aur Nafl ke alawa
baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur
Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski
qaza)inn sab Mein ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat
Mein Niyyat karna zaroori hai.
Masla – Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf
teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.
a.) Adae Ramzaan.
b.) Nazrein Mo’Aiyyan.
c.) Nafli Roze
Inke Alawa Jitne roze hain maslan – Qazae ramzaan wagairah
to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq
ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze
ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah na hua.
Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta : –
Masla – Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Rozah na toota
chaahe wo Rozah Nafl ho ya farz
Masla – Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate – peete dekhe to yaad
dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hua.
Masla – Makkhi ya Dhua ya Gubaar halaq Mein jaane se Rozah
Nahin tootta.
Masla – Tel ya surma lagaaya to Rozah na toota agarche tel ya
surma halaq Mein Meinhsoos hota ho balke thook Mein surma
ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin toota.
Masla – Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Meinhsoos huyi,
Rozah Nahin toota.
Masla – Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh
Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Rozah
Nahin toota.
Masla – Kaan Mein paani chala gaya, Rozah Nahin toota.
Masla – Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl
lag gaya phir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche
chand baar kiya ho, Rozah Na toota.
Masla – daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha Magar
Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se
Niche Utra Magar Itna Kam Tha K Halaq Mein Mazah Meinhsoos
Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.
Masla – Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah
Nahin toota.
Masla – Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma
phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote
hi Ugal diya , Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton
Mein Rozah jaata raha.
Masla – Ehtlaam(Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah na gaya
Agarche  Geebat bahut sakht kabeera hai.
Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise
Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12)
aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut
Sakt) hai Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati
rehti hai.
Masla – Janaabat (Napaaki) ki haalat Mein Subha ki Agar saare
din Naapak raha , Rozah na gaya magar itni der tak Qasdan Gusl
na karna K Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai.
Hadees Mein hai K Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme
Rehmat ke Farishte Nahin Aate.
Masla – Daanton Mein koi Cheez Chane  se kam thi aur use
Nigal gaya , Rozah na toota.
Masla – Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono
Surton Mein Rozah na tootega.
Masla – Aankhon Mein dawa daalne se Rozah Nahin tootta.
Masla – Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Rozah Nahin tootta
isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahin tootta.
Masla – Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na
tootega.
Masla – Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada,
Rozah na toota.
Masla – Khud-bakhud Ulti huyi phir use  Nigal gaya to agar
munh bhar na ho, Rozah na gaya.
Masla – Balgum ki Qai kitni hi ho use Rozah Nahin tootega.
Masla – Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to
Rozah na gaya.
Masla – Roze ki haalat Mein itr lagaya ya usko soonga ya phool
soonga  ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya sar ya badan ke
kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream
wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Rozah na gaya.
Masla – Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya Ya aur
kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Rozah na gaya.
Masla – Aansu ya Paseena munh Mein chala gaya aur use nigal
gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Rozah na toota.
Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan
Masla – Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se
Rozah Toot jaata hai.
Masla – Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah
Peene se Rozah toot jaata hai.
Masla – Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.
Masla – Shakar(Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein
rakhne se ghul jaati hai, Munh Mein  rakhi aur Thook nigal gaya,
Rozah toot gaya.
Masla – Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya
zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar
phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot gaya.
Masla – Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur
uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua,Rozah toot gaya.
Masla – Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq
se neeche utra Rozah toot gaya.
Masla – Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala
Gaya Rozah Toot Gaya
Masla – Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot
jaata hai(Fatawae Razwiya).
Masla – Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya,
Rozah toot gaya.
Masla – Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya
Rozah toot gaya.
Masla – Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal
gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore
Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot gaya.
Masla – Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot
gaya.
Masla – Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal
gaya Rozah Toot Gaya
Masla – Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya
baad ko Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah na hua.
Masla – Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya
Baad ko Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua.
Masla – Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah
koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use
Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.
Masla – Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah
toot jaata hai.
Masla – Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar
Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya.
Masla – Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske
kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya.
Masla – Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain)
Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah
Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega.
Masla – Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder)
Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.
Unn Surton Ka Bayaan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai
Masla – Ye Gumaan Tha K Subah Nahin Huyi Aur Khaaya ya Piya
Ya HumBistari Ki Baad Ko Maloom Hua K Subah Ho Chuki Thi
To Sirf Qazaa Laazim Hai Yaani Iss Roze Ke Badle Mein 1 Rozah
Rakhna Hoga
Masla – Bhoolkar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki Ya Ehtlaam
(Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Mein Ye Gumaan
Kiya K Rozah Toot Gaya Ab Jaan Bujhkar Kha Liya To Sirf Qazaa
Farz Hai.
Masla – Kaan Mein Tel Tapkaya Ya Naak Se Dawa Chadhayi Ya
Subah Ko Niyyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawaal Se Pehle Niyyat
Ki Aur Niyyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Mein Sirf Qazaa
Laazim Hai Kaffara Nahin.
Masla – Guroob Samajhkar Iftaar Kar Litya Haalaki Din Baaki Tha
Sirf Qaza Laazim Hai.
Masla – Naabaalig Bachche Ne Rozah Rakhkar Todh Diya To
Uspar Qaza Nahin
Masla – Qai (Ulti) Aayi Ya Bhoolkar Khaya Piya Aur Inn Sab
Surton Mein Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya
To Kaffara Laazim Nahin(Qazaa Zaroori Hai).
Unn Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim
Hai
Masla – Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz
ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah
Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez
Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath
Kaffara Bhi Laazim Hai.
Masla – Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai
Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho
Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim
Nahin
Masla – Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori
Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega
Masla – Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K
Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim
Hai
Masla -Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin
Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada
Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.
Masla – Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi
Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai.
Masla – Bhoolkar Kha Raha Tha Yaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya,
Kaffara Wajib Hai.
Masla – Ehtlaam(Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha K Rozah
Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai.
Masla – Ramzaan Ka Rozah Qasdan(Jaanbujhkar)Todhne Se
Kaffara Laazim Aata Hai

Kaffara Laazim Hone Ki Shartein
Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Hone Ki Chand Shartein Hai
Jab Ye Sab Paayi Jaayengi Tab Kaffara Laazim Hoga Warna
Nahin.
1)Ramzaan Ke Mahine Mein Ramzaan Ka Rozah Adaa Karne Ki
Niyyat SE Rozah Rakha Ho
2)Rozah daar Muqim Ho Musaafir Nahin
3)Mukallaf(Aaqil-o-Baalig) Ho To Agar Bachche Ya Paagal Ne
Todha To Kaffara Nahin
4)Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho To Agar Din Mein
Niyyat Ki Phir Use Todh DiYA To Kaffara Nahin
5) Rozah Todhne ke baad koi aise Amr na Waaqey hua ho jo
Roze ki Munafi (Khilaaf)Ho jaise Aurat ko Haiz wa Nifaas Aa
gaya ho, ya Rozah Todhne ke baad itna Bimaar ho gaya ho k
use Rozah na Rakhne ki Ijaazat ho to Kaffara Laazim na hoga.
Roze ke makhroohat ke bayaan
Hadees – hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se
Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne
farmaya “ JO BOORI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa
NAHIN ChhOdhE TO  ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin K
Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai. (BUKHARI ,TIRMIZI
SHARIF)
Hadees : HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t’aala anhu se
Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t‘aala Alaihi Wasallam Ne
Irshaad farmaya “rozah Uska naam Nahin k khaane peene se
baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda baaton se
bacha jaaye(haakim)
Masla : Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat kisi ko
takleef dena k ye cheezein waise bhi na jaayez -o-haraam hain
roze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Mein
karahat Aati hai
Masla : Rozahdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana
makrooh hai.
Masla :chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar
bad mijaaz hai k namak kam wa zyaada hoga to naaraaz hoga
to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.
Masla : chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai
yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda
kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega . balki
kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara  bhi LazIm hoga.
Masla : chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah
maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na
Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega
Masla : T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer
game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card,
ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai
ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi
makhrooh hota hai.
Masla : gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel
lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.
Masla : Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise
aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.
Masla : roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal
makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to
Rozah toot gaya.
Masla : rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani
charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.
Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le
Masla : thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne
makhrooh Nahin
Masla : munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai
Sehri wa iftaar ka Bayaan
Hadees : hazrate anas  Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k
huzoor-e- aqdas sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya
“SEHRI KHAO K SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.
(bukhari&muslim )
Hadees : hazrat Abdullah ibneumar Radiyallahu t’aal anhuma se
Riwayat hai k huzoore akram sallallaahu T’aala alaihi wasallam
Ne farmaya “ALLAH AUR USKE FARISHTE SEHRI KHAANE
WAALON PAR DU ROOD BHEJTE HAIN (TIBRANI).
Hadees : hazrat abu saeed khudri Radiyallahu t’aala anhu se
Riwayat hai k huzoor sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne
farmaya sehri kul ki kul barkat hai use na  chhodhna agarche ek
ghoont paani bhi peele kyun ki sehri khaane waalon par allah
aur uske farishte durood bhejte hain.(musnad imam ahmed bin
hambal)
hadees – hazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu T’aala anhu Se
Riwayat Hai K Huzoor E Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi
Wasallam Ne Farmaya HaMesha Log Khair K Sath Raheinge Jab
Tak Iftaar Mein Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif)
Hadees – Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se
Riwayat Hai K Huzoor sallalLaahu T’aala Alaihi wasallam Ne
Farmaya K Allah T’aala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe
Zyaada Pyaara Woh Hai Jo Iftaar Mein Jaldi Karta Hai. (Tirmizi)
Hadees –  Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu T’aala Anhu Se
Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi
Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Tumme Se Koi Rozah Iftaar
Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare K Woh Barkat Hai
Agar Woh Na Mile To Paani Se K Woh Paak Karne Wala Hai.
(Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
Hadees – Huzoore-E-Aqdas SallalLahu T’aala Alaihi Wasallam
Iftaar ke waqt Ye Dua Padhte
Arbi Dua
(Abu Dawood)
Masla – Sehri Khana Aur Usme Taakhir Karna Mustahab Hai
Magar Itni Taakhir Makrooh Hai k Subah Ka Shak Ho Jaaye.
Masla – Iftaar Mein Jaldi Karna Mustahab Hai Magar Iftaar Uss
Waqt Kare K Gurub Ka Gaalib Gumaan Ho Jab Tak Gumaan
Gaalib Na Ho Iftaar Na Kare Agarche Mu-azzin Ne Azaan Keh Di
Hai Aur Baadal Ke Dino Mein Iftaar Mein Jaldi Na Kare
Masla – Baaz Log Fajr Ki Azaan Tak Sehri Khaate Rehte Hai Unka
Roza Nahin Hota
Masla – Subah Saadiq Tak SEHRI Kha Sakte HaiN Magar
Ehtiyaatan 5 Minute Pehle Khaana Pina Mauqoof Kar Dena
Behtar Hai
Masla – Kisi Bhi Roze Ke liye Sehri Shart Nahin Ye Jo Awaam
Mein Mashoor Hai k Nafli Roze Ke Liye Sehri Zaroori Hai Iski Koi
Asl Nahi Balke Bagair  Sehri Bhi Ye Roze Ho Jaayenge
Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai
Masla – Safar Wa Hamal(Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh
Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke
Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar
Nahin
Masla -Safar  Se Muraad Safar-e-Sharaiy Hai Yaani Itni Door
Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya
Usse Zyaada Ho.
Masla – Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne
Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To
Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga
Masla – Hamal wali(pregnancy)Aurat KO Apni  Jaan Ka Khauf Ho
To Ijaazat  Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe
Masla -Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya
Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn
Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe
Masla – Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez
Weham(khyaal) Kaafi Nahin
Masla – Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna
Jaayez Nahin Agar Todhega To Kaffara Laazim Aayega
Masla – Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz
Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane
K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.
Hadees Mein Farmaya Jispar Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki
Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na
Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya
To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani
Ramzaan Ke Baad Rakhe)
Masla – Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah
Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna
SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar
Roze Ke Fidya Ke Masail
Masla – Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo
50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)
Masla – Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab
Roz Baroz Kamzor Hi Hota JAayega Jab WoH Rozah Rakhne Se
Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni
Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use
Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein
Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana
Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki
Miqdar Miskeen Ko De De.
Masla – Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi
(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho
(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke
Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.
Masla – Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah
Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon
Ki Qaza Rakhe.

Leave a comment