alifbyarif's Blog

A topnotch WordPress.com site

Shadi ki pehli rat- Islam

Shadi karna sunnat hai aur islam ka
ek hissa hai.
Isliye har insan ko shadi
karna chahiye.
Bagher kisi jaiz wajah
ke agar koi shaadi nahi kar raha
ya der se kar raha hai to ye islam ke
khilaf hai.
Jin logo ki shadi honewali hoti hai,
unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch
sawal hote hain ki islam ke
hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya
karna chahiye,
Ya iska sahi tarika kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karenge,
lekin ye baat sirf islam sikhne
ki niyat se padhiye,
Dil mein kuch
gandagi na rakhiye aur na koi galat
comment karna.
Hamara maksad sirf
un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is
baare mein maalumaat kam
hai.
Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to
sabse pahle salam kare,
kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke
baad ladki ki peshani
(forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye
aur ye dua padhe.
Hadees dekhiye,
Hazrat Muhammad
(sallallaho alayhi wasallam) ne irshad
farmaya:
Jab koi shaks nikah kare aur
pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan
ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke
thode se baal apne sidhe
hath me le kar yah duwa
padhe
“Allahumma in’ni as’a’luka min
khai’riha wakhai’ri ma fiha wakhairi
ma jabalta’ha alai wa a’udhu bika min
shar’riha washar’ri ma fiha wa sharri
ma jabalta’ha alai”
Tarzuma:
Aye Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur
khairo barkat
mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri
panah chahta hu iski
burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne
Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne
se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye
hamare Aaqa Hazrat
Muhammad (sallallahu alyhiwsallam)
ka hukm hai,
Warna jis ladki ko nahi
maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur
2 rakat namaz nafal,
Allah ka shukr ada karne aur usse dua
karne ke liye padhiye, Namaz is tarah
padhiye (jamat bana kar) ki ladka
aage imam ban kar khada ho aur ladki
uske piche khade ho jaaye.
Dono saath namaz padhe.
Namaz ki niyat :
niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki
waste Allah ta’ala ke rukh
mera kaaba sharif ke taraf Allaho
Akbar.
fir humesha jaise namaz
padhte ho waise hi namaz padhe Aur
namaz ke baad Shaadi saath kheriyat
se hone ke liye Allah ka shukr ada
kijiye aur ye dua kariye ki Allah is
shaadi ko kaamyab banaye,
aage bhi hansi-khushi rakhe,
bacche nek de,
aur is tarah bhi dua kar sakte hain
“Aye ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune
hume ye din dikhaya
aur hume is khushi wa ne’amat se nawaza aur
hume apne Habib sallallaho alayhi
wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata
farmayi.
Aye ALLAH humari is
khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume
mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne
ki taufiq ata
farma.
Ya Rabbe Qadir hume nek
farmabardar aulad ata farma.
AAMIN
(Awwal Aakhir Durood)
Aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki
kaamyabi ke liye dua karna chahe kar
sakte hain.
Dua ke pahle aur aakhir
mein darud sharif padh lijiye.
Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na
kare
balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi
jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein
baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi
jhijhak door ho jaaye to
aur aap saath mein sone ka irada karen to usse
pahle ye dua padh
lijiye.
“Bismillah, Allahumma jannib nash
Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma
razaq tana
Tarzuma:
“ALLAH ke naam
se.
Aye ALLAH door kar hamse shaitan
mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us
Aulad se jo tu hame ata
karega”
“Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt
padhega
(Dua wahi jo upar likhi hai)
To ALLAH us padhnewale ko agar Aulad
ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi
nuksan na pahuncha
sakega”
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85,
Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani
ke baal pakad kar dua karna hai wo
sirf pehli raat mein hi padhna hai aur
ek hi baar padhna hai, lekin ye waali
dua
(“Bismillah, Allahumma jannib
nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq
tana”)
aapko hamesha padhni hai,
Jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse
pahle is dua ko padhle

shadi ki pehli raat..
Jub dulha,dulhan kamare me jaye aur tanhai ho
to behtar ye he ki, subse pehle dulha, dulhan
wuzoo karle aur fir 2 rakat nafil namaz Shukrana
(Ba Jamat) padhe. Dulhan agar Haiz (Mahvari) ki
halat me ho to namaz na padhe.
Dulha Imaamat kare aur Dulhan uske piche
namaz padhe.
Namaz ki niyat:
Niyat ki maine 2 Rakat Namaz nafil Shukrane ki
waste Allah Ta’ala ke rukh mera Kaaba sharif ke
taraf, Allaho Akbar.
fir humesha jaise namaz padhte he waise hi
namaz padhe aur is tarah dua kare
“Aye ALLAH tera shukra aur Ehsan he ki tune
hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa
ne’amat se nawaza aur hume apne Habeeb
Sallalaho Alayhi Wasallam ki sunnat par amal
karne ki taufiq ata farmayi
Ae Allah humari is khushi ko humesha isi tarah
kayam rakh, hume mel milap pyar muhabbat ke
sathe zindagi gujarne ki taufiq ata farma.
Ae Rabbe kadir hume nek farmabardar aulad ata
farma.
Aameen
(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)
Hazrat Abdullah ibne masud Radiallahu ta’ala
anho farmate he:
“Ek shaks ne bayan kiya ki maine ek jawan ladki
se nikah kar liya he aur muze dar he ki wo muze
pasand nahi karegi.
Hazrat Abdullah bin Masud ne farmaya:
Muhabbat Allah ki taraf se hoti he aur nafrat
shaitan ke taraf se.
jub tum biwi ke pas jao to subse pehle use kaho
ki woh tumhare piche 2 rakat namaz padhe
(Gunyatuttalebin Jild: 5, Safa: 115)
Namaz aur fir uske bad dua padh lene ke bad
dulha,dulhan palang par sukun se baith jaye fir
uske bad dulha apni dulhan ki peshani ke thode
bal apne sidhe hath me narmi ke sath muhabbat
bhare andaz me pakade aur ye Dua padhe:
Hazrat Amra bin Aas Radiallahu Anho se riwayat
he ke Sarkare Madina Sallalaho Alayhi Wasallam
ne irshad farmaya:
“Jab koi shaks nikah kare aur pehli rat (Suhag
rat) ko apni dulhan ke pas jaye to narmi ke sath
uski peshani ke thode se bal apne sidhe hath me
le kar yah dua padhe:
“Allahumma inni as aluka min khaire-h-wa-
khaire-m jabal-t-h-alayhe wa auzoo be-ka-min
sharre-h-wa sharre-m-jabal-t-h-Alaih”
Tarjuma:
Aye Allah mai tuzse iski (Biwi ki) bhalai aur
khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki
bhalai, aur teri panah chahta hu isko burai aur
fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood Jild: 2, Safa: 150, Hasne hasin Safa:
164)
Ek Badi Galatfehmi:
Kuch logo ka khayal he ki jub Aurat se pehli bar
sohbat ki jaye to uski sharmgah se khoon kharij
hona jaruri he
Ye khoon ka aana uske ba ajmat pak daman hone
ka suboot samza jata he
Agar khoon nahi aaya to aurat badchalan aawara
samzi jati he aur aurat ki sharafat aur ba ajmat
hone me shak kiya jata he. Aaiye is masle ke
bare me hum jante he
Kuwari ladkiyo ki sharmgah me thoda andar ek
patali zilli hoti he.
Jise Parda-E-Ajmat Ya Parda-E-Bakarat
(Hymen) kehte he.
Is zilli me chota sa surakh hota he jiske jariye
ladaki ke balig hone par Haiz (Mahwari) ka khoon
apne waqt par khariz hota rehta he.
Shadi ke bad jab mard pehli bar sohbat karta he
to mard ke Uzoo-E-Tanasul ke uske takarane ki
wajahse wo zilli fat jati he.
Is mauke par aurat ko thodi taklif hoti he aur
thodasa khoon kharij hota he.
Fir yah zilli humesha ke liye khatam ho jati he.
lekin ye zilli patali aur najuk hoti he to kai
martaba kisi ladaki ko ye kisi mamuli chot ya kisi
hadse ki wajahse ya kabhi khud ba khud fat jati
he. Lihaza agar aurat se sohbat ke dauran khoon
na nikale to use aawara samazna munasib na
hoga jub tak ki mukammal sharai suboot na ho
“Jiska Parda-E-Ajmat kudne,haiz aane ya jakhm
ya umar jyada hone ki wajahse fat jaye wo aurat
hakikat me Bakirah (Kuwari, Pak daman) hai.
(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa:
36)

52 thoughts on “Shadi ki pehli rat- Islam

  1. Bohot khub
    Kya muje kuch sawalo k jawab mil sakte h

  2. Assalam u alaikum. Meri abi shadi hone wali hai apni hone wali bivi farmabardaar nek namazi nikle iske liye kounsi duwa aur zikr padna hoga.

    • Naik Biwi / Shohar Ke Husool Ke Liye: Jis Larkay Ya Larki
      Ki Khawahish Ho Keh Us Ka Shareek-E-Hayat Naik Aur
      Parhezgar Ho Tou Usay Chahiye Keh Surah Al Muzammil
      11 Jumairaat Baad Isha Namaz 11 Baar Parh Lay Aur 11-
      11 Baar Hi Darood Parhay. Insha’allah Is Amal Ki Barkat Se
      Naik Shareek-E-Hayat Ki Arzu Puri Ho Gi.

  3. Assalam u alaikum. Meri abi shadi hone wali hai apni hone wali bivi farmabardaar nek namazi nikle iske liye kounsi duwa aur zikr padna hoga. Meherbani hogi muje batayen.

    • Naik Biwi / Shohar Ke Husool Ke Liye: Jis Larkay Ya Larki
      Ki Khawahish Ho Keh Us Ka Shareek-E-Hayat Naik Aur
      Parhezgar Ho Tou Usay Chahiye Keh Surah Al Muzammil
      11 Jumairaat Baad Isha Namaz 11 Baar Parh Lay Aur 11-
      11 Baar Hi Darood Parhay. Insha’allah Is Amal Ki Barkat Se
      Naik Shareek-E-Hayat Ki Arzu Puri Ho Gi.

    • wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuh

  4. assalamo alaykum

    Sohbat ka tarika kya he .. Aap Bata skte hai..?

  5. Dear brow,
    my shadi karli aur in sab ka mujh ku ilm nahi taha aab kaya kiya jaye?

  6. Kya m.c .me aurat se sohbat karna gunah h

  7. Aurat se kiss position me sex kiya ja sakta h…???

  8. Assalamuwalaikum bhai mera b ek sawal hai aap galat na samje is sawal ko sunkar.

    “kya hum apni biwi ke toilet ke hisseme sex karsakte hain…?

    bhai mai apke jawab ka intezaar karra hun.

  9. kya Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kersakte hain…? aur ye Shadeed ke bareme khulasa Karen

    Allah Hafiz.

  10. http://www.qoitrat.org/Qa/searchtopic.php?Main=76&MainTopc=79&SubTopc=224

    is link pe jayn aur iske bare me padhen, aur isme jo likha hai kya wojhut hai .

  11. ????????

  12. jo apne link di hai whaan to bht sare sawal hain aur quran o itarat ye shia ki website lagti hai q ki jo wahan refrences di gai hain wo shia kinkitabon se di gai hain..

    Main Sunni hun..

  13. Aap kajawab. Piche yami paikhane ki jaga par karna guna hai aur aap ka b noksan ho sakta hai aapki sharmgah me bemari asakti hai yani sharmgah age mota nice patla hosakta hai aur teda bhosakta hai allah jo chiz ku haram kardya hai use musalman ku door hojana chaye isme humsab ka faida hai.

  14. Assalaam-o-alikum,

    Mere kuch questions hai,

    1st::- Sex ke liye hame apni biwi se kis tarah se kehna hoga even jab hum usse first time mil rahe ho? Aap direct thodi keh sakte hai ke mujhe aapke saath sex karna hai ajeeb nahi lagega aise?
    2nd :- Sex kis position mai karna hoga aur kitni dair tak karsakte hai aur discharge hone k baad ka kia tarika hai?
    3Rd:- Kia sex ke dauraan ladka pure kapde utaar sakta hai aur ladki bhi ya half ?
    4th: Room mai aate hi ladke ko ladki se kia sawaal karne chahiye?

    waiting for your reply.

  15. As salam oalakum. Mera ek sawal h. Galat mat samjhiye ga hume jub zarwat lge sohbat ki to kya hum kr sakte h

  16. Assalamualaikum, jo shadi ki raath ko nafl ya shukrana ki namaz ada karni hai humein kounsa surah tilawat karna hai woh boliye ga zaroor , jazakAllah khair.

  17. asslam alaikum

    sir mai yeh janna chahata hoon shadi ki raat sex kaise kia jata hai aur kerne ka tariqha kaisa hai
    aur pure kapde utaar ker kerna chahiye ya nahi

  18. jab dulhan se kya baat kerna chahiye is ke detail dijiye
    aur

  19. aur kab tak kerna chahiye is ka waqt kya hota hai shadi ki raat
    ye sab detail message kiji ye

  20. Assalam walekum bhai jaan
    Meri shadi hune wali hai mujhe nek farmabardaar bivi ki khowaish hai aap log ki duwa ki jarat hai or
    Aisi aurat milne ke liye konsi duwa padni hugi batane ke liye bahut bahut sukurya huga
    jajakallah khayer

    • wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuh
      21 Baar Rozana Surah Taha Parhay. Behtar Yehi Hai Ke Fajar Ki Salat Ke Baad Parhay Aur 11 Baar Hi Shuru Main Aur Ikhtitam Par Durood Ibrahimi Parhay. To Insha Allah bht nek rishta aaega

  21. Bv k boobs wagera ko chosna kisa hia islam me

  22. Assalamualaikum bhai mujhe bataden ki kya,shadi ki raat me hi sohbat karna zaruri hai,,agar shohar aur biwi ye irada karen ki hume aulad chand saloun baad karni hai to kya karen

  23. Assalamu alumni
    kya shadi ki raat ladki haiz ki halat me hu to
    mubashirat kar sakte hai
    Pls reply

  24. shaadi ki pehli raat ko khoon nikalne ke baad suhbaat Mar sakte hai kiya

  25. kya bekar sawala puchre re bache hai kya tumloga 12 saal he shadi karlere sarka react karre..

  26. mere se Char saal Badi ladki hai kya mai usse shadi kar sakta Hoon

  27. mera sawal ye hai ki kya aurat ko jayez hai ki vo mard ka penis muh m le skti h????

    • Sirf penis ko kiss karna makrooh hai aur muh me lena makrooh hai mani ajae muh me to haram amal hai.. Q ki Sunni Hanafi ke nazdeek mani napak hai..
      Aur koi bhi napak cheez honto se ya muh se lagana haram hai..

  28. Assalm-u-alaikum .
    Mera sawal ye h ki kya hamara shadi ki pehli raat ko biwi ki saath humbistati krna zaruri h agr hum na karein tou is barein mein aap kuch bata denge tou behtar hoga

  29. Assalm-u-alaikum .
    Mera sawal ye h ki kya hamara shadi ki pehli raat ko biwi ki saath humbistati krna zaruri h agr hum na karein tou is barein mein aap kuch bata denge tou behtar hoga .

  30. Nice information

  31. Assalamualaikum
    Agar shohar biwi shadi ki raat Ko namaz na padhein aur kuch saal Baad yaad aaye to kya karein. Kya ab shadi ke 1 saal Baad vo namaz padhai ja Sakti hai. Pls reply soon.

  32. Assalamoalikom.
    Sir mera sawal ye hai k jo miyan bv namaz pary gy shadi ki raat, husband imamaf krway ga to Sruah fatiha dil main parnj hy ya unchi jesy fajr main party hn?

Leave a comment